Song Details:
Singer(s): Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Omkar Prasad Nayyar
Label: BR Films
Sathi Hath Badhana Lyrics:
Saathi haath badhana
Saathi haath badhana
Ek akela thak jaayega
Mil kar bojh uthana-x2
Saathi haath badhana
Ham mehanat walo ne jab bhi
Mil kar kadam badhaya
Sagar ne rasta chhoda
Parabat ne sheesh jhukaaya
Faulaadi hai sine apne
Faulaadi hai baahen
Ham chahen to paida kar de
Chattanon mein rahein
Saathi haath badhana
Saathi haath badhana
Ek akela thak jaayega
Mil kar bojh uthana
Saathi haath badhana
Mehanat apni lekh ki rekh a
Mehanat se kya darna
Kal gairon ki khatir ki ab
Aaj apni khaatir karana
Apna dukh bhi ek hai saathi
Apna sukh bhi ek
Apani manzil, sach ki manzil
Apna rastaa nek
Saathi haath badhana
Saathi haath badhana
Ek akela thak jaayega
Mil kar bojh uthana
Saathi haath badhana
Ek se ek mile toh katra
Ban jata hai dariya
Ek se ek mile to zara
Ban jata hai sehara
Ek se ek mile to rahi
Ban sakti hai parabat
Ek se ek mile to insaan
Bas mein kar le kismat
Saathi haath badhana
Saathi haath badhana
Ek akela thak jaayega
Mil kar bojh uthana
Saathi haath badhana